Bol ki lab azaad hain tere: Faiz
bol zabaa.N ab tak terii hai
teraa sutawaa.N jism hai teraa
bol ki jaa.N ab tak terii hai
dekh ke aaha.ngar kii dukaa.N mein
tu.nd hai.n shole surKh hai aahan
khulne lage quffalo.n ke dahaane
phailaa har ek zanjiir kaa daaman
bol ye thodaa waqt bahot hai
jism-o-zabaa.N kii maut se pahle
bol ki sach zindaa hai ab tak
bol jo kuchh kahane hai kah le
[sutawaa.N=well built; aaha.ngar=blacksmith; tu.nd=sharp (here it means bright);]
[aahan=iron; quffalo.n ke dahaane=keyhole]
Baaghi : Makhdoom Moinuddin
raad huu.N barq huu.N bechain huu.N paaraa huu.N mai.n
Khud-parastaar, Khud-aagaah, Khud-aaraa huu.N mai.n
gardan-e-zulm kaTe jis se vo aaraa huu.N mai.n
Khirman-e-jaur jalaade vah sharaaraa huu.N mai.n
merii fariyaad par ahal-e-davil a.ngusht bagosh
laa tabar Khuun ke dariyaa me.n nahaane de mujhe
sare pur naKhuvat-e-arbaab-e-zamaa.N to.Duu.Ngaa
shor-e-naalaa se dar-e-araz-o-samaa.N to.Duu.Ngaa
zulm paravar ravish-e-ahal-e-jahaa.N to.Duu.Ngaa
isharat aabaad amaarat kaa makaa.N to.Duu.Ngaa
to.D Daaluu.Ngaa mai.n za.njiire asiiraan-e-qafas
dahar ko pa.nj-e-asarat se chhu.Daane de mujhe
barq ban kar but-e-maazii ko giraane de mujhe
rasm-e-kuhanaa ko tah-e-Khaak milaane de mujhe
tafriqe mazahab-o-millat ke miTaane de mujhe
Khvaab-e-fardaa ko bas ab haal banaane de mujhe
aag huu.N aag huu.N haa.N! dahakatii hu_ii aag
aag huu.N aag bas ab aag lagaane de mujhe
is daur-e-bejunu.N kii kahanii koii likho: Ahmad Faraz
is daur-e-bejunu.N kii kahanii koii likho
jismo.n ko barf Khuun ko paanii koii likho
koii kaho ki haath qalam kis tarah hue
kyuu.N ruk ga_ii qalam kii ravaanii koii likho
kyo.n ahal-e-shauq sar-va-garebaa.N hai.n dosto
kyo.n Khuu.N-ba-dil hai ahad-e-javaanii koii likho
kyo.n surmaa-dar-guluu hai har ek taayar-e-suKhan
kyo.n gulsita.N qafas kaa hai saanii ko_ii likho
haa.N taazaa saaneho.n kaa kare kaun intazaar
haa.N dil kii vaardaat puranii koii likho
Zindagi Tune
mere in haatho.n kii chaaho to talaashi le lo
hamane dekhaa hai ka_ii aise Khudaao.n ko
yaa Khudaa ab ke ye kis rang se aa_ii hai
dil bhii ik zid pe a.Daa hai kisii bachche kii tarah
zindagii Khvaab-e-pareshaa.N hai koii kyaa jaane:Josh Malihabadi
raamish-o-rang ke aivaan me.n lailaa-e-hayaat
gulashan-e-ziist ke har phuul kii rangiinii me.n
rang-o-aaha.ng se bajtii huii yaado.n kii baraat
[raamish=music],[dajalaa-e-Khuun=stream/river of blood,
aadatan tum ne kar diye vaade : Gulzar
lau de uThe vo harf-e-talab soch rahe hai.n: Shakeb Jalali
kyaa likhiye sar-e-daaman-e-shab soch rahe hai.n
kyaa jaaniye manzil hai kahaa.N jaate hai.n kis simt
bhaTakii hu_ii is bhii.D me.n sab soch rahe hai.n
bhiigii hu_ii ek shaam kii dahaliiz pe baiThe
ham dil ke dha.Dakane kaa sabab soch rahe hai.n
TuuTe huye patto.n se daraKhto.n kaa ta'alluq
ham duur kha.De kunj-e-tarab soch rahe hai.n
is lahar ke piichhe bhii ravaa.N hai.n na_ii lahare.n
pahale nahii.n sochaa thaa jo ab soch rahe hai.n
ham ubhare bhii Duube bhii siyaahii ke bha.Nvar me.n
ham soye nahii.n shab-hamaa-shab soch rahe hai.n
dasht-e-shab par dikhaa_ii kyaa dengii: Parveen Shakir
dasht-e-shab par dikhaa_ii kyaa dengii
silavaTe.n roshanii me.n ubharengii
ghar kii diivaare.n mere jaane par
apanii tanhaa_iyo.n ko sochengii
u.Ngaliyo.n ko taraash duu.N phir bhii
aadatan us kaa naam likkhengii
rang-o-buu se kahii.n panaah nahii.n
Khvaahishe.n bhii kahaa.N amaa.N dengii
ek Khushbuu se bach bhii jaa_uu.N agar
duusarii nikahate.n jaka.D lengii
khi.Dakiyo.n par dabiiz parde ho.n
baarishe.n phir bhii dastake.n dengii
ka_ii marhale aur sar karane hai.n: Anwar Shaoor
ka_ii marhale aur sar karane hai.n
abhii to bahut se safar karane hai.n
[marhale = destinations/obstacles; sar karanaa = overcome]
badii aur nekii yaqii.n aur shak
hai.n jitane bhii aib-o-hunar karane hai.n
[badii = sin; nekii = good; aib = fault; hunar = skill]
hathelii pe rakhate hai.n apanaa kafan
jinhe.n apanaa jiivan amar karane hai.n
sitam hai ki duniyaa ke kitane hii kaam
zaruurii nahii.n hai.n magar karane hai.n
karoge kabhii tark bhii taak-jhaa.Nk
ki ye sil_sile umr bhar karane hai.n
bahut saKht mausam hai lekin 'Shaoor'
kisii taur ye din basar karane hai.n
kuchh to ehasaas-e-ziyaa.N thaa pahale: Nasir Kazmi
kuchh to ehasaas-e-ziyaa.N thaa pahale
dil kaa ye haal kahaa.N thaa pahale
ab to manzil bhii hai Khud garm-e-safar
har qadam sang-e-nishaa.N thaa pahale
safar-e-shauq ke far_sang na puuchh
vaqt beqaid-e-makaa.N thaa pahale
ye alag baat ki Gam raas hai ab
is me.n andeshaa-e-jaa.N thaa pahale
yuu.N na ghabaraaye huye phirate the
dil ajab kunj-e-amaa.N thaa pahale
ab bhii tuu paas nahii.n hai lekin
is qadar duur kahaa.N thaa pahale
Dere Daale hai.n bagolo.n ne jahaa.N
us taraf chashm-e-ravaa.N thaa pahale
ab vo dariyaa na bastii na vo log
kyaa Khabar kaun kahaa.N thaa pahale
har Kharaabaa ye sadaa detaa hai
mai.n bhii aabaad makaa.N thaa pahale
kyaa se kyaa ho ga_ii duniyaa pyaare
tuu vahii.n par hai jahaa.N thaa pahale
ham ne aabaad kiyaa mulk-e-suKhan
kaisaa sun_saan samaa.N thaa pahale
ham ne baKhshii hai Khamoshii ko zubaa.N
dard majabuur-e-fuGaa.N thaa pahale
ham ne roshan kiyaa maamuur-e-Gam
varnaa har simt dhuaa.N thaa pahale
Gam ne phir dil ko jagaayaa 'Nasir'
Khaanaa_barbaad kahaa.N thaa pahale
safar me.n dhuup to hogii : Nida Fazli
idhar udhar ka_ii ma.nzil hai.n chal sako to chalo
kisii ke vaasate raahe.n kahaa.N badalatii hai.n
yahaa.N kisii ko koii raastaa nahii.n detaa mujhe
yahii hai zindagii kuchh Khvaab chand ummiide.n
har ik safar ko hai mahafuus raasto.n kii talaash
kahii.n nahii.n ko_ii suuraj, dhuaa.N dhuaa.N hai fizaa
main jahaa.N tum ko bulaata hu.N wahaa.N tak aao: Ali Sardar Jafri
had-e-nigaah tak ye zamii.n hai siyaah phir: Shaharyar
nikalii hai jugnuo.n kii bhataktii sipaah phir
hontho.n pe aa rahaa hai koii naam baar baar
sannaato.n kii tilism ko todegii aah phir
pichchle safar kii gard ko daaman se jhaad do
aawaz de rahii hai koii sooni raah phir
berang aasmaan ko dekhegii kab talak
manzar nayaa talaash karegii nigaah phir
Dheeli huii giraft junu.N kii ke jal uThaa
taaq-e-hawas mein koii charaagh-e-gunaah phir
nahi.n nigaah mein manzil to justju hii sahii
nahi.n visaal mayassar to aarazu hii sahii
na tan mein Khoon faraaham na ashk aankho.n mein
namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vazuu hii sahii
kisii tarah to jame bazm maikade waalo
nahi.n jo baadaa-o-saaGar to haa-o-huu hii sahii
gar intezaar kathin hai to jab talak aii dil
kisii ke vaada-e-fardaa kii guftaguu hii sahii
dayaar-e-Ghair mein mahram agar nahi.n koii
to 'Faiz' zikr-e-watan apne ru-ba-ru hii sahii
Mujh ko yaqii.n hai: Javed Akhtar
jab mere bachapan ke din the chaa.Nd mein pariya.N rahatii thii.n
ik ye din jab apano.n ne bhii hamase rishtaa tod liyaa
ik vo din din jab pe.D kii shaaKhein bojh hamaaraa sahatii thii.n
ik ye din jab laakho.n Gam aur kaal pa.Daa hai aa.Nsoo kaa
ik vo din jab ek zaraa sii baat pe nadiyaa.N bahatii thii.n
ik ye din jab saarii sa.Dkein ruuThii ruuThii lagatii hai.n
ik vo din jab 'aao khele.n' saarii galiyaa.N kahatii thii.n
ik ye din jab jaagii raate.n diivaaro.n ko takatii hai.n
ik vo din jab shaaKho.n kii bhii palake.n bojhal rahatii thii.n
ik ye din jab zahen mein saarii ayyaarii kii baate.n hai.n
ik vo din jab dil mein saarii bholii baate.n rahatii thii.n
ik ye ghar jis ghar mein meraa saaz-o-saamaa.N rahataa hai
ik vo ghar jisme.n merii boodhii naanii rahatii thii.n
Dr. Rahi Masoom Raza
Hum kaisaa geet likhe.n
dil ke ujle kaghaz par hum kaisaa geet likhe.n
bolo tum ko Gair likhe.n yaa apnaa meet likhe.n
niile ambar kii a.ngnaaii me.n taaro.n ke phool
mere pyaase honto.N par hai.n angaaro.n ke phool
in phoolo.n ko aaKhir apanii haar yaa jiit likhe.N
koii puranaa sapnaa de do aur kuchh meethe bol
lekar hum nikale hai.n apanii aa.Nkho ke kash-kol
hum ba.njaare preet ke maare kyaa sangeet likhe.n
shaam khadii hai ek chamelii ke pyaale me.n shabnam
Jamunaa jii kii ungalii pakde khel rahaa hai madhuban
aise me.n Ganga jal se Radhaa kii priit likhe.n
dil ke ujle kaghaz par ham kaisaa geet likhe.n
saKht muqaam : Dilawar Fighar
kitane Gaalib the jo paidaa hue aur mar bhii gaye
kitane iqbaal rah-e-fikr me.n ut.The lekin
kitne shabbiir Hasan kha.N na bane Josh kabhii
Faiz rang bhii ashaar me.n aa sakataa thaa
chaand zarro.n hi ko milatii hai ziyaa-e-Khurshiid
dil-e-shaayar pe kuchh aisii hii guzartii hai 'fighar'