had-e-nigaah tak ye zamii.n hai siyaah phir
nikalii hai jugnuo.n kii bhataktii sipaah phir
hontho.n pe aa rahaa hai koii naam baar baar
sannaato.n kii tilism ko todegii aah phir
pichchle safar kii gard ko daaman se jhaad do
aawaz de rahii hai koii sooni raah phir
berang aasmaan ko dekhegii kab talak
manzar nayaa talaash karegii nigaah phir
Dheeli huii giraft junu.N kii ke jal uThaa
taaq-e-hawas mein koii charaagh-e-gunaah phir
No comments:
Post a Comment