nahi.n nigaah mein manzil to justju hii sahii


nahi.n nigaah mein manzil to justju hii sahii
nahi.n visaal mayassar to aarazu hii sahii

na tan mein Khoon faraaham na ashk aankho.n mein
namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vazuu hii sahii

kisii tarah to jame bazm maikade waalo
nahi.n jo baadaa-o-saaGar to haa-o-huu hii sahii

gar intezaar kathin hai to jab talak aii dil
kisii ke vaada-e-fardaa kii guftaguu hii sahii

dayaar-e-Ghair mein mahram agar nahi.n koii
to 'Faiz' zikr-e-watan apne ru-ba-ru hii sahii

No comments: