jadaa-e-fan me.n ba.De saKht muqaam aate hai.n
mar ke rah jaataa hai fanakaar amar hone tak
kitane Gaalib the jo paidaa hue aur mar bhii gaye
qadradaan ko taKhallus ki kHabar hone tak
kitane iqbaal rah-e-fikr me.n ut.The lekin
raastaa bhuul gaye Khatm-e-safar hone tak
kitne shabbiir Hasan kha.N na bane Josh kabhii
mar gaye kitane Sikander bhii Jigar hone tak
Faiz rang bhii ashaar me.n aa sakataa thaa
ungliya.N saath to de.n Khuun me.n tar hone tak
chaand zarro.n hi ko milatii hai ziyaa-e-Khurshiid
chaaand taare hii chamakate hai.n sahar hone tak
dil-e-shaayar pe kuchh aisii hii guzartii hai 'fighar'
jo kisii qatare pe guzare hai guhar hone tak
No comments:
Post a Comment