Ek Khwab Aur, Introduction
apnii kitaab ‘ek khwaab aur’ meN harf-e-awwal mein Ali Sardar Jafri likhte hain,
khwaab aur shikast-e-khwaab is daur ka muqaddar hai’. aur naye khawaab dekhnaa insaaN kaa ek aisaa haq hai jise ko’ii taaqat, ko’ii iqtidaar use marHuum nahiiN kar saktaa. aur shaayed yahii insaaN aur insaaniyat ke mustaqbil kii zamaanat hai
ek khwaab aur
khwaab ab Husn-e-tasavvur ke ufaq se haiN pare
dil ke ek jazbaa-e-ma’suum ne dekhe the jo khawaab
aur ta’beeroN ke tapte hue sehraaoN meN
tashnagii aabla-paa, sh’ola-bakaf mauj-e-saraab
ye tau mumkin nahiin bachpan ka ko’ii din mil jaaye
yaa palat aaye ko’ii sa’aat-e-naayaab-e-shabaab
phuuT nikle kisii afsurdah tabassum se kiran
yaa damak uTThe kisii dast-e-buriidah meN gulaab
aah ! patthar kii lakiireN haiN ke yaadoN ke nuquush
kaun likh saktaa hai phir umr-e-guzishtaa kii kitaab
beete lamHaat ke soye hue tuufaanoN meN
tairte phirte haiN phuuTii huii aaNkhoN ke Habaab
taabish rang-e-shafaq, aatish ruu-e-Khurshiid
mal ke cHehre pe saHar aayii hai KhuuN aHbaab
jaane kis moR pe, kis raaH meN kyaa beetii hai
kis se mumkin hai tamannaoN ke zakhmoN ka Hisaab
aastiinoN ko pukaareNge kahaaN tak aaNsuuN
ab tau daaman ko pakaRte haiN lahuu ke gardaab
dekhtii phirtii hai ek ek ka munh khaamoshii
jaane kyaa baat hai sharmindah hai andaaz-e-Khitaab
dar-ba-dar thokareN khaate huve phirte haiN savaal
aur mujrim ki tarah unse gurezaaN haiN javaab
sarkashii, phir maiN tujhe aaj sadaa detaa huN
maiN teraa shaa’iir-e-aawaaraa-o-be-baak-o-Kharaab
pheNk phir jazbaa-e-betaab ki aalam pe kamand
ek khwaab aur ai himmat-e-dushwaar pasand
Ali Sardar Jafri
niind
raat Khuubsurat hai niind kyuN nahiiN aatii
din kii Khashmagi nazrein kho gayii siyaahii me
Naahnii kaRoN kaa shor, beRioN kii jhankaare
NqaidioN kii saaNsoN kii tund-tez aavaaze
NjailaroN kii badkaari, gaalioN ki bauchhaareN
bebasii kii Khaamoshii, Khaamoshi kii faryaadeN, tahnashiin andhere meN
shab ki shoKh doshiizaa Khaardaar taaron ko
aahniiN hisaaroN ko paar kar ke aayii hai
bhar ke apne daaman meN jangaloN kii Khush-buueN
ThandakeN pahaaRoN kii mere paas laayii hai
raat Khuubsurat hai niind kyuN nahiiN aatii
neelguuN jawaaN seena, neelguuN jawaaN baaheN
kahkashaaN kii peshaanii, neem chaaNd ka juuRaa
maKhmalii andhere kaa, pairahan laraztaa hai
waqt ki siyaah zulfeN Khaamoshi ke shaanoN per
Kham-ba-Kham mahaktii haiN aur zamiiN ke hontoN per
narm shabnamii bosay, motioN ke daantoN se KhilKhilaa ke haNste haiN
raat Khuubsurat hai niind kyuN nahiiN aatii
raat peing letii hai, chaaNdnii ke jhuule meN
aasmaan par taare nanhe-nanhe haathoN se
bun rahe hain jaaduu saajhingaron ki aavaazeN,
kah rahi hain afsaanaduur jail ke baahar baj rahii hai shehnaaii
rail apne pahioN se loriaaN sunaatii hai
raat Khuubsurat hai niind kyuN nahiiN aatii
roz raat ko yuNhii niind meri aankhon se
bewafaaii kartii hai
mujhko chhoR kar tanhaa jail se nikaltii hai
Bambayii kii bastii meN mere ghar ka darvaaza jaa kar KhatKhataati hai
ek nanhe bacche kii ankhRioN ke bachpan meN
miithe miithe KhwaboN ka shahed Ghol detii haii
k hansiiN parii ban kar paalnaa hilaati hai loriaaN sunaatii hai
Ali Sardar Jafri
No comments:
Post a Comment