VATAN KE LIYE: KAIFI AZMI


yahii tohfa hai yahii nazrana
main jo awaraa nazar layaa huN
rang mein tere milaane ke liye
qatra-e-Khuun-e-jigar laya huN
aii gulabon ke vatan
pahle kab ayaa hu.N kuchh yaad nahiin
lekin ayaa thaa qasam khataa hu.N
phool to phool hain kaaNTon pe tere
apane hoNTon ke nishaaN paata huN
mere Khwabon ke vatan
choom lene de mujhe haath apne
jin se toDii hain kaii zanjiirein
tuune badlaa hai mashiyat kaa mizaaj
tuune likhii hain naii taqdiirein
inqalabon ke vatan
phuul ke baad naye phuul khilein
kabhii Khaalii na ho daaman teraa
roshnii roshnii terii raahein
chaNdnii chaNdnii aangan teraa
mahtaabon ke vatan

Mera Safar: Ali Sardar Jafri


phir ek din aisaa aaega
aankhon ke diye bujh jaaenge
haathon ke kanval kumhalayenge
aur barg-e-zabaan se nataq-va-sadaa kii
har titlii uD jaaegii
ik kaale samandar kii tah mein
kaliyon kii tarah se khilatii huii
phuulon kii tarah se hanstii huii
saarii shaklein kho jaayengii
Khuun kii gardish dil kii dhaDkan
sab rangiiniyaaN so jaayengii
aur niilii fazaa kii maKhmal par
haNstii huii hiire kii ye kaanii
ye merii jannat merii zamiin
is kii subahein is kii shaamein
bejaane hue besamajhe hue
ik musht Gubaar-e-insaaN par
shabanam kii ro jaayengii
har chiiz bhulaa dii jaayegii
yaadon ke hasiin but Khaane se
har chiiz uThaa dii jaayegii
phir koii nahiin ye puuchhegaa
'sardar' kahaaN hai mahafil mein
lekin main yahaaN phir aaunga
bachchon ke dahan se bolunga
chidiyon kii zabaaN se gaaungaa
jab biij hansenge dhartii mein
aur konpalein apanii uNgaii se
miTTii kii tahon ko chhedengii
main pattii pattii kalii kalii
apanii aankhein phir kholuNgaa
sar sabz hathelii par lekar
shabanam ke qatre toluNgaa
main rang-e-henaa
aahang-e-Gazalandaaz-e-suKhan ban jauNgaa
ruKhsaar-e-uruus-e-nau kii tarah
har aaNchal se chhan jaauNgaa
jaaDon kii hawaaein daaman mein
jab fasl-e-KhazaaN ko laayengii
rahruu ke javaaN qadamon ke tale
suukhe hue patton se mere
haNsne kii sadaaein aayengii
dharatii kii sunahrii sab nadiyaaN
aakaash kii niilii sab jhiilein
hastii se merii bhar jaayengii
aur saaraa zamaanaa dekhegaa
har qissaa meraa afsaanaa hai
har aashiq hai saradar yahaaN
har maashuqaa sultanaa hai
main ek gurezaaN lamhaa huN
ayyaam ke afsuuN khaane mein
main ek taDaptaa qatraa huN
masaruuf-e-safar jo rahtaa hai
maazii kii suraahii ke dil se
mustaqbil ke paimaane mein
mai.n sotaa huN aur jaagtaa huN
aur jaag ke phir so jaataa huN
sadiion kaa puraanaa khel huN main
main mar ke amar ho jaataa huN