Uttho meri dunia ke Gharibo.n ko jaga do: Allam Iqbal


Uttho meri dunia ke Gharibo.n ko jaga do

Khak-e-umra ke dar-o-diwar hila do


garmaao Ghulamo.n ka lahu soz-e-yaqi.n se

kunjishk-e-phiromaya ko shahi.n se lada do


sultani-e-jamhur kaa aataa hai zamanaa

jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aaye mitaa do


jis khet se dahaqa.N ko mayassar nahi.n rozi

us Khet ke har Khoshaa-e-gundam ko jalaa do


kyon Khaaliq-o-makhlooq me haayal rahein parde

piiran-e-kaliisa ko kaliisa se hata do


main naakhush-o-bezaar hu.N mar-mar ke silo.n se

mere liye mittii kaa haram or bana do


tahzeeb-e-navi.n kaar-gah-e-shishaa garaa.N hai

aadaab-e-junu.N shayar-e-mashriq ko sikhaa do



[tahaziib-e-navii.n = new culture; kaar_gah-e-shiishaagaraa.N = factory of glass makers][shayaar-e-mashriq = poets of the East]
[Khaak-e-umaraa = palace of rich people][soz-e-yaqii.n = warmth (passion) of belief/faith][shaahii.n = falcon][sultaanii-e-jamahuur = rule of the people]
[naqsh-e-kuhan = old structures (ways/traditions)][dahaqaa.N = farmer; mayassar = available/get]
[Khoshaa-e-gundam = ear of wheat][Khaaliq = creator; maKhaluuq = creation]
[piiraan-e-kaliisaa = church officials]
[mar_mar = marble]

Miraji: Nagrii Nagrii Phira Musafir


nagri nagri phira musafir ghar ka rasta bhul gaya
kya hai tera kya hai mera apna paraya bhul gaya

apni biti jag biti hai jab se dil ne jaan lia
hanste hanste jivan biita rona dhona bhul gaya

andhyare se ek kiran ne jhank ke dekha sharmai
dhundh si chhab to yad rahi kaisa tha chehra bhul gaya

hansi hansi me khel khel me baat ki baat me rang gaya
dil bhi hote hote akhir ghav ka risna bhul gaya

ek nazar ki ek hi pal ki bat hai Dori saanso ki
ek nazar ka noor mita jab ek pal biita bhool gaya

jis ko dekho uske dil me shiava hai to itna hai
hame to sab kuchh yaad raha par ham ko zamana bhul gaya

koi kahe ye kisne kaha tha kahdo jo kuchh ji me hai
"Miraji" kahkar pachhtaya or phir kahna bhul gaya