Zindagi Tune


zindagii tuune lahuu leke diyaa kuchh bhii nahii.n

tere daaman me.n mere vaaste kyaa kuchh bhii nahii.n


mere in haatho.n kii chaaho to talaashi le lo

mere haatho.n me.n lakiiro.n ke sivaa kuchh bhii nahii.n


hamane dekhaa hai ka_ii aise Khudaao.n ko

yahaa.N saamane jin ke vo sach much kaa Khudaa kuchh bhii nahii.n


yaa Khudaa ab ke ye kis rang se aa_ii hai

bahaar zard hii zard hai pe.Do.n pe haraa kuchh bhii nahii.n


dil bhii ik zid pe a.Daa hai kisii bachche kii tarah

yaa to sab kuchh hii ise chaahiye yaa kuchh bhii nahii.n

zindagii Khvaab-e-pareshaa.N hai koii kyaa jaane:Josh Malihabadi


zindagii Khwab-e-pareshaa.N hai koii kyaa jaane

maut kii larazish-e-mizshagaa.N hai koii kyaa jaane


raamish-o-rang ke aivaan me.n lailaa-e-hayaat

sirf ek raat kii mehamaa.N hai koii kyaa jaane

gulashan-e-ziist ke har phuul kii rangiinii me.n

dajalaa-e-Khuun-e-rag-e-jaa.N hai koii kyaa jaane

rang-o-aaha.ng se bajtii huii yaado.n kii baraat

raharav-e-jaadaa-e-nisiyaa.N hai koii kyaa jaane


[raamish=music],[dajalaa-e-Khuun=stream/river of blood,

[raharav-e-jaadaa-e-nisiyaa.N=traveller of a forgotten path]

aadatan tum ne kar diye vaade : Gulzar


aadatan tum ne kar diye vaade

aadatan ham ne aitabaar kiyaa


terii raaho.n me.n baarahaa ruk kar

ham ne apanaa hii intazaar kiiyaa


ab naa maa.Nge.nge zindagii yaa rab

ye gunaah ham ne ek baar kiyaa

lau de uThe vo harf-e-talab soch rahe hai.n: Shakeb Jalali


lau de uThe vo harf-e-talab soch rahe hai.n
kyaa likhiye sar-e-daaman-e-shab soch rahe hai.n

kyaa jaaniye manzil hai kahaa.N jaate hai.n kis simt
bhaTakii hu_ii is bhii.D me.n sab soch rahe hai.n

bhiigii hu_ii ek shaam kii dahaliiz pe baiThe
ham dil ke dha.Dakane kaa sabab soch rahe hai.n

TuuTe huye patto.n se daraKhto.n kaa ta'alluq
ham duur kha.De kunj-e-tarab soch rahe hai.n

is lahar ke piichhe bhii ravaa.N hai.n na_ii lahare.n
pahale nahii.n sochaa thaa jo ab soch rahe hai.n

ham ubhare bhii Duube bhii siyaahii ke bha.Nvar me.n
ham soye nahii.n shab-hamaa-shab soch rahe hai.n