main jahaa.N tum ko bulaata hu.N wahaa.N tak aao: Ali Sardar Jafri

main jahaa.N tum ko bulaata hu.N wahaa.N tak aao
merii nazro.n se guzar kar dil-o-jaa.N tak aao

phir ye dekho ki zamaane kii hawaa hai kaisii
saath mere mere firdaus-e-jawaa.N tak aao

tegh kii tarah chalo chhod ke aaghosh-e-niyaam
tiir kii tarah se aaghosh-e-kamaa.N tak aao

phool ke gird phiro baagh mein maanind-e-naseem
misl-e-paravanaa kisii sham-e-tapaa.N tak aao

lo vo sadiyo.n ke jahannum kii hade.n Khatm huii
ab hai firdaus hii firdaus jahaa.N tak aao

chhod kar waham-o-gumaa.N husn-e-yahqii.n tak pahu.Ncho
par yaqii.n se bhii kabhii waham-o-gumaa.N tak aao

had-e-nigaah tak ye zamii.n hai siyaah phir: Shaharyar

had-e-nigaah tak ye zamii.n hai siyaah phir
nikalii hai jugnuo.n kii bhataktii sipaah phir

hontho.n pe aa rahaa hai koii naam baar baar
sannaato.n kii tilism ko todegii aah phir

pichchle safar kii gard ko daaman se jhaad do
aawaz de rahii hai koii sooni raah phir

berang aasmaan ko dekhegii kab talak
manzar nayaa talaash karegii nigaah phir

Dheeli huii giraft junu.N kii ke jal uThaa
taaq-e-hawas mein koii charaagh-e-gunaah phir

nahi.n nigaah mein manzil to justju hii sahii


nahi.n nigaah mein manzil to justju hii sahii
nahi.n visaal mayassar to aarazu hii sahii

na tan mein Khoon faraaham na ashk aankho.n mein
namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vazuu hii sahii

kisii tarah to jame bazm maikade waalo
nahi.n jo baadaa-o-saaGar to haa-o-huu hii sahii

gar intezaar kathin hai to jab talak aii dil
kisii ke vaada-e-fardaa kii guftaguu hii sahii

dayaar-e-Ghair mein mahram agar nahi.n koii
to 'Faiz' zikr-e-watan apne ru-ba-ru hii sahii