Bol ki lab azaad hain tere: Faiz



bol ki lab azaad hai.n tere
bol zabaa.N ab tak terii hai
teraa sutawaa.N jism hai teraa
bol ki jaa.N ab tak terii hai
dekh ke aaha.ngar kii dukaa.N mein
tu.nd hai.n shole surKh hai aahan
khulne lage quffalo.n ke dahaane
phailaa har ek zanjiir kaa daaman
bol ye thodaa waqt bahot hai
jism-o-zabaa.N kii maut se pahle
bol ki sach zindaa hai ab tak
bol jo kuchh kahane hai kah le

[sutawaa.N=well built; aaha.ngar=blacksmith; tu.nd=sharp (here it means bright);]
[aahan=iron; quffalo.n ke dahaane=keyhole]

No comments: