is daur-e-bejunu.N kii kahanii koii likho: Ahmad Faraz



is daur-e-bejunu.N kii kahanii koii likho
jismo.n ko barf Khuun ko paanii koii likho
 
koii kaho ki haath qalam kis tarah hue
kyuu.N ruk ga_ii qalam kii ravaanii koii likho
 
kyo.n ahal-e-shauq sar-va-garebaa.N hai.n dosto
kyo.n Khuu.N-ba-dil hai ahad-e-javaanii koii likho
 
kyo.n surmaa-dar-guluu hai har ek taayar-e-suKhan
kyo.n gulsita.N qafas kaa hai saanii ko_ii likho
 
haa.N taazaa saaneho.n kaa kare kaun intazaar
haa.N dil kii vaardaat puranii koii likho

2 comments:

Shazia Altaf said...

Bohat Khoob
Sir Itni achi shayiri kaha se lete ho?

saiyed said...

Thanks...
mera kaam to bus hai pironaa moti...
ab haar ki qeemat to qadrada.n hi jaane