safar me.n dhuup to hogii : Nida Fazli


safar me.n dhuup to hogii jo chal sako to chalo
sabhii hai.n bhii.D me.n tum bhii nikal sako to chalo

idhar udhar ka_ii ma.nzil hai.n chal sako to chalo
bane banaaye hai.n saa.Nche jo Dhal sako to chalo

kisii ke vaasate raahe.n kahaa.N badalatii hai.n
tum apane aap ko Khud hii badal sako to chalo

yahaa.N kisii ko koii raastaa nahii.n detaa mujhe
giraake agar tum sambhal sako to chalo

yahii hai zindagii kuchh Khvaab chand ummiide.n
inhii.n khilauno.n se tum bhii bahal sako to chalo

har ik safar ko hai mahafuus raasto.n kii talaash
hifaazato.n kii rivaayat badal sako to chalo

kahii.n nahii.n ko_ii suuraj, dhuaa.N dhuaa.N hai fizaa
Khud apane aap se baahar nikal sako to chalo

No comments: