Dr. Naseem Uz Zafar Baquari

Very few poets have left the impression on the the audience as Dr. Naseem has in a very short span of time. we can call him an allrounder or it would not be hypothetical to call him Modern Leonardo Da Vinci. He is a practicing Docter, philosopher, writer, lyricist, script writer, dramatist, journalst and over all a good poet.
Born in a family of high repute he is youngest of six brothers. His father Maulvi Murtaza Hussain was highly regarded for his literary and academic taste.
He was born in Syed Nagli ( Hasanpur) Moradabad ( now J P Nagar) in Uttar Pradesh on 12 August 1952. He passed his higher secondary from Sukhdevi Inter College Hasanpur, Intermediate from Aggrawal Inter College (Now Maharaja Agrasen Inter College)- Moradabad, B.Sc Frm K G K college Moradabad, BUMMS from AMU Aligarh and M.D From Jaipur (Rajasthan Univ).
His literary works include "Musawwir Sabzwari- Fun or Shairi, Translation of Dr. Gurudas Das Gupta's drama from Bengali to Urdu as 'Naya Chand', Drama- "Mai Abhi Wahan Se Aa Raha HuN',
Lyrics for Doordarshan's "Jung Abhi Jari Hai" and the compilation of "Nazir e Karbala" of late Maujiz Sambhali.
Many of his dramas and short stories are published in magzines and journals of high repute.Asmat Chughtai once said about him that , " Naseem is the Premchand of Urdu Afsana Nigari". Maujiz Sambhali acknowledged him as 'The Poet who dont need any master'. Although he is rarely found on stages as he consider it as a 'Job of disaster and self ruin", but his poetry has a class of its own. Presently he resides in Sambhal (Moradabad) busy with his successful practice and medical business.
His days at AMU, according to him were the days of his mentor and he regard the time as his golden era. He was sectretary, Literary and cultural society Aftab Hall 1973, Secretary AK Tibbia College Adabi Society. Member Drama Club, Member Literary Club and was active in different socio-political movements in the campus.






Tamaam Kasa-e-darveshgi ke paale hue.......
Tamaam Kasa-e-darveshgi ke paale hue
Hamare shahar me ab unchii naak waale hue
Zamana uske lie royega wo saaya hai
Chalii ye dhoop kidhar barchhiyan nikale hue
Shikaar aaj ki saazish ka hue jaate hain
Hum apni ankhon me kal ka yaqin paale hue
Andhere zehanon se hargiz naa dosti karna
Ke un me reh ke kai aaftaab kaale hue
Khushii ko dhundhne nikle to hum ko iilm hua
Khushi bhi hath gale me hai gham ke daale hue
Gunaah khulne ki sharmindagi kisi ko nahiin
Charagh khud hi pashemaan hai kyon ujaale hue
Ameer e shahar bahut muztarib sa rehta hai
Baras guzar gaye nezon pe sar uchhale hue

Ilm (Knowledge).......
Andaz e baqA hai shaoor e fanA hai Ilm
meraj e marfat e sifat Ambiaa hai Ilm
Adam ko wazA o wazA faziilat hua hai Ilm
sajde malayakA ke batayenge kya hai Ilm

Kaun o makaN me yuN bhii isii ka zahoor hai
Allah ek naam hai Ilm iskA noor hai
Anko.N ka noor dil kii haraarat bhi Ilm haiIimaN Ka soz Ishq Ki Lazzt bhi Ilm hai
Hai Ilm hii Imam-e-hidayat bhi Ilm hai
Paighambarii bhi Ilm Ri.isalat bhii Ilm hai

Lauho Qalam ke zikr se khud ashkar hai
Parwardigar Ilm ka Parwardigar hai

Adam ko jab mila to faqat iltajA thA Ilm
Aag me Khaliil ke lab ki dua thaA Ilm
Moosa ko jab milA to tajalli numA tha Ilm
Bayani e Muhammed me Noor e Khuda tha Ilm

Ye Ilm hi wahii kabhii ilhaam ho gaya
KaAbe tak aate aate Ali naam ho gayA



An'aa ( Ego)......................Khud hi me dooba hua ek viqaar ka lehjaA
Ek Aitmaad ka, ek Aitbaar ka lehjaA
Ek Iftekhar bharA ikhtiar ka lehjaA
AnaA ka lehjaA hai ParwardiaAr ka lehjaA

KahiN ye lafz na paiida fareb zaat kare
Bashar anaA ko samajh le tab iski baat kare

Anaa hai wasf-e-Khuda Seerat-e-Nabi hai Anaa
Anaa Umar hai, abu Bakr hai Ghani hai Anaa
Anaa shaur hai aijaz aa gaii hai Anaa
Agarche fitna-e-shaitan kabhii kabhii hai Anaa

Anaa hai dar se Iisa ko jo bulati hai
Anaa Khalil bhi Namrood bhi banati hai

Nihabato.N ke badan ki hain qabaA hai Anaa
Sadaqato.N ke lie taaj khialti hai Anaa
Magar kamiino ko mil jae to sazaa hai Anaa
Jo be-adab haiN inhe kya khabar vke kya hai Anaa

Jawa.N hai karbobala toor ab bhii zinda hai
Anaa se jazba-e-Mansoor ab bhi zinda hai

Magar nigah-e-haqeeqat se dekhie ek baar
Yahi Anaa hai Abu Jahal-o-Abu lahab ka shumaar
Isi Anaa ne kia Rab ke Hukm se Inkaar
Isi Anaa ne sajae haiN zulm ke darbaar

Yahi Anaa kabhi Baiit ka roop dharti hai
Yahi Anaa kabhi Kam taqatiise haarti hai

Yahi Anaa hai kabhi haq kabhi yahi baatil
Yahi Anaa hai Saiirab or yahii Anaa manzil
Yahi hai mauja-e-toofaN kabhi kabhi sahil
Kabhi basar ko jagaae kabhi kare ghafil

Jamaal ka hai ne Aina-e-jamaal ka hai
Jo farq hai to faqat Ahatdaal ka hai


Chand AshaAr
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
mere hath.oN me to rukti hi nahi koi lakiir
laa tere hatho.N meN maiN apna muqaddar dekhuN
dooriaN ghati haiN ke badh jaati haiN
aazmaish ko sahii laa tujh se bichhadD ker dekuN

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
.merei tasveer me ankheN nahi khwab aaye haiN
camerE ko meri aadat ka pata kaise lagaA

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

zakhm e ahsaas na hijrat na safar maaNgegA
ye musaafir to sarai nahi ghar maaNgegA
shahzada abhi kamsin hai to phooloN pe hain paoN

kal jawaaN hogA to insanO ke sir maaNgegA

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

hamara sabr hamari ana hamara zameer
chhuri ke niche bhi lehja kahan badalta hai

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

agar charaagh ki lau sir samete baithi hai
hawa bhi toote hue par samete baithi hai

havelion ki faseelon ko ye bhi ranj raha
gharibi lutaa hua ghar samete baithi hai

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

Bus akhri wajd or aii dil ke nazar bujhne lagi
wo jo aa jaeN to phir akhri dhammal hai

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

Log samjhe the ke main jal bhi chuka bujh bhi chuka
rakh ke dher ko chheda.A to shuaAle nikle.E


Dr. Naseem Uz Zafar Baquari


1 comment:

Anonymous said...

Ask'm Mama,
Nice to see u on Google
Also i wud forward special thanks to teepu bhai who made his best efforts to make this scenario possible.