VATAN KE LIYE: KAIFI AZMI


yahii tohfa hai yahii nazrana
main jo awaraa nazar layaa huN
rang mein tere milaane ke liye
qatra-e-Khuun-e-jigar laya huN
aii gulabon ke vatan
pahle kab ayaa hu.N kuchh yaad nahiin
lekin ayaa thaa qasam khataa hu.N
phool to phool hain kaaNTon pe tere
apane hoNTon ke nishaaN paata huN
mere Khwabon ke vatan
choom lene de mujhe haath apne
jin se toDii hain kaii zanjiirein
tuune badlaa hai mashiyat kaa mizaaj
tuune likhii hain naii taqdiirein
inqalabon ke vatan
phuul ke baad naye phuul khilein
kabhii Khaalii na ho daaman teraa
roshnii roshnii terii raahein
chaNdnii chaNdnii aangan teraa
mahtaabon ke vatan

Mera Safar: Ali Sardar Jafri


phir ek din aisaa aaega
aankhon ke diye bujh jaaenge
haathon ke kanval kumhalayenge
aur barg-e-zabaan se nataq-va-sadaa kii
har titlii uD jaaegii
ik kaale samandar kii tah mein
kaliyon kii tarah se khilatii huii
phuulon kii tarah se hanstii huii
saarii shaklein kho jaayengii
Khuun kii gardish dil kii dhaDkan
sab rangiiniyaaN so jaayengii
aur niilii fazaa kii maKhmal par
haNstii huii hiire kii ye kaanii
ye merii jannat merii zamiin
is kii subahein is kii shaamein
bejaane hue besamajhe hue
ik musht Gubaar-e-insaaN par
shabanam kii ro jaayengii
har chiiz bhulaa dii jaayegii
yaadon ke hasiin but Khaane se
har chiiz uThaa dii jaayegii
phir koii nahiin ye puuchhegaa
'sardar' kahaaN hai mahafil mein
lekin main yahaaN phir aaunga
bachchon ke dahan se bolunga
chidiyon kii zabaaN se gaaungaa
jab biij hansenge dhartii mein
aur konpalein apanii uNgaii se
miTTii kii tahon ko chhedengii
main pattii pattii kalii kalii
apanii aankhein phir kholuNgaa
sar sabz hathelii par lekar
shabanam ke qatre toluNgaa
main rang-e-henaa
aahang-e-Gazalandaaz-e-suKhan ban jauNgaa
ruKhsaar-e-uruus-e-nau kii tarah
har aaNchal se chhan jaauNgaa
jaaDon kii hawaaein daaman mein
jab fasl-e-KhazaaN ko laayengii
rahruu ke javaaN qadamon ke tale
suukhe hue patton se mere
haNsne kii sadaaein aayengii
dharatii kii sunahrii sab nadiyaaN
aakaash kii niilii sab jhiilein
hastii se merii bhar jaayengii
aur saaraa zamaanaa dekhegaa
har qissaa meraa afsaanaa hai
har aashiq hai saradar yahaaN
har maashuqaa sultanaa hai
main ek gurezaaN lamhaa huN
ayyaam ke afsuuN khaane mein
main ek taDaptaa qatraa huN
masaruuf-e-safar jo rahtaa hai
maazii kii suraahii ke dil se
mustaqbil ke paimaane mein
mai.n sotaa huN aur jaagtaa huN
aur jaag ke phir so jaataa huN
sadiion kaa puraanaa khel huN main
main mar ke amar ho jaataa huN

Bahaar Aaii- Faiz Ahmed Faiz


bahaar aa’ii to jaise yak baar
lauT aaye hain phir adam se
wo Khvaab saare, shabaab saare
jo tere honton pe mar mite the
jo mit ke har baar phir jiiye the
nikhar gaye hain gulaab saare
jo terii yaadon se mushk-buu hain
jo tere ushshaaq kaa lahuu hain
ubal pade hain azaab saare
malaal-e-ahvaal-e-dostaan bhii
Khumaar-e-aaghosh-e-mahvashaan bhii
Ghubaar-e-Khaatir ke baab saare

tere hamaare
sawaal saare, jawaab saare
bahaar aa’ii to khul gaye hain
naye sire se hisaab saare

Apna Shahar- Makhdoom Moiuddin


ye shahar apnaa,

ajab shahar hai

ke raatoN ko

sadak pe chaliye tau sargoshiyaaN sii kartaa hai

bulaa ke zakhm dikhataa hai

raaz-e-dil kii tarah


dariiche band

galii chupni

Dhaal diivaaren

kivaad muh’r-balab

gharo me mayyateN thahrii hu’ii hain barson se

kiraaye par !

Uttho meri dunia ke Gharibo.n ko jaga do: Allam Iqbal


Uttho meri dunia ke Gharibo.n ko jaga do

Khak-e-umra ke dar-o-diwar hila do


garmaao Ghulamo.n ka lahu soz-e-yaqi.n se

kunjishk-e-phiromaya ko shahi.n se lada do


sultani-e-jamhur kaa aataa hai zamanaa

jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aaye mitaa do


jis khet se dahaqa.N ko mayassar nahi.n rozi

us Khet ke har Khoshaa-e-gundam ko jalaa do


kyon Khaaliq-o-makhlooq me haayal rahein parde

piiran-e-kaliisa ko kaliisa se hata do


main naakhush-o-bezaar hu.N mar-mar ke silo.n se

mere liye mittii kaa haram or bana do


tahzeeb-e-navi.n kaar-gah-e-shishaa garaa.N hai

aadaab-e-junu.N shayar-e-mashriq ko sikhaa do



[tahaziib-e-navii.n = new culture; kaar_gah-e-shiishaagaraa.N = factory of glass makers][shayaar-e-mashriq = poets of the East]
[Khaak-e-umaraa = palace of rich people][soz-e-yaqii.n = warmth (passion) of belief/faith][shaahii.n = falcon][sultaanii-e-jamahuur = rule of the people]
[naqsh-e-kuhan = old structures (ways/traditions)][dahaqaa.N = farmer; mayassar = available/get]
[Khoshaa-e-gundam = ear of wheat][Khaaliq = creator; maKhaluuq = creation]
[piiraan-e-kaliisaa = church officials]
[mar_mar = marble]

Miraji: Nagrii Nagrii Phira Musafir


nagri nagri phira musafir ghar ka rasta bhul gaya
kya hai tera kya hai mera apna paraya bhul gaya

apni biti jag biti hai jab se dil ne jaan lia
hanste hanste jivan biita rona dhona bhul gaya

andhyare se ek kiran ne jhank ke dekha sharmai
dhundh si chhab to yad rahi kaisa tha chehra bhul gaya

hansi hansi me khel khel me baat ki baat me rang gaya
dil bhi hote hote akhir ghav ka risna bhul gaya

ek nazar ki ek hi pal ki bat hai Dori saanso ki
ek nazar ka noor mita jab ek pal biita bhool gaya

jis ko dekho uske dil me shiava hai to itna hai
hame to sab kuchh yaad raha par ham ko zamana bhul gaya

koi kahe ye kisne kaha tha kahdo jo kuchh ji me hai
"Miraji" kahkar pachhtaya or phir kahna bhul gaya

Bol ki lab azaad hain tere: Faiz



bol ki lab azaad hai.n tere
bol zabaa.N ab tak terii hai
teraa sutawaa.N jism hai teraa
bol ki jaa.N ab tak terii hai
dekh ke aaha.ngar kii dukaa.N mein
tu.nd hai.n shole surKh hai aahan
khulne lage quffalo.n ke dahaane
phailaa har ek zanjiir kaa daaman
bol ye thodaa waqt bahot hai
jism-o-zabaa.N kii maut se pahle
bol ki sach zindaa hai ab tak
bol jo kuchh kahane hai kah le

[sutawaa.N=well built; aaha.ngar=blacksmith; tu.nd=sharp (here it means bright);]
[aahan=iron; quffalo.n ke dahaane=keyhole]

Baaghi : Makhdoom Moinuddin



raad huu.N barq huu.N bechain huu.N paaraa huu.N mai.n
Khud-parastaar, Khud-aagaah, Khud-aaraa huu.N mai.n
gardan-e-zulm kaTe jis se vo aaraa huu.N mai.n
Khirman-e-jaur jalaade vah sharaaraa huu.N mai.n

merii fariyaad par ahal-e-davil a.ngusht bagosh
laa tabar Khuun ke dariyaa me.n nahaane de mujhe

sare pur naKhuvat-e-arbaab-e-zamaa.N to.Duu.Ngaa
shor-e-naalaa se dar-e-araz-o-samaa.N to.Duu.Ngaa
zulm paravar ravish-e-ahal-e-jahaa.N to.Duu.Ngaa
isharat aabaad amaarat kaa makaa.N to.Duu.Ngaa

to.D Daaluu.Ngaa mai.n za.njiire asiiraan-e-qafas
dahar ko pa.nj-e-asarat se chhu.Daane de mujhe

barq ban kar but-e-maazii ko giraane de mujhe
rasm-e-kuhanaa ko tah-e-Khaak milaane de mujhe
tafriqe mazahab-o-millat ke miTaane de mujhe
Khvaab-e-fardaa ko bas ab haal banaane de mujhe

aag huu.N aag huu.N haa.N! dahakatii hu_ii aag
aag huu.N aag bas ab aag lagaane de mujhe


is daur-e-bejunu.N kii kahanii koii likho: Ahmad Faraz



is daur-e-bejunu.N kii kahanii koii likho
jismo.n ko barf Khuun ko paanii koii likho
 
koii kaho ki haath qalam kis tarah hue
kyuu.N ruk ga_ii qalam kii ravaanii koii likho
 
kyo.n ahal-e-shauq sar-va-garebaa.N hai.n dosto
kyo.n Khuu.N-ba-dil hai ahad-e-javaanii koii likho
 
kyo.n surmaa-dar-guluu hai har ek taayar-e-suKhan
kyo.n gulsita.N qafas kaa hai saanii ko_ii likho
 
haa.N taazaa saaneho.n kaa kare kaun intazaar
haa.N dil kii vaardaat puranii koii likho

Zindagi Tune


zindagii tuune lahuu leke diyaa kuchh bhii nahii.n

tere daaman me.n mere vaaste kyaa kuchh bhii nahii.n


mere in haatho.n kii chaaho to talaashi le lo

mere haatho.n me.n lakiiro.n ke sivaa kuchh bhii nahii.n


hamane dekhaa hai ka_ii aise Khudaao.n ko

yahaa.N saamane jin ke vo sach much kaa Khudaa kuchh bhii nahii.n


yaa Khudaa ab ke ye kis rang se aa_ii hai

bahaar zard hii zard hai pe.Do.n pe haraa kuchh bhii nahii.n


dil bhii ik zid pe a.Daa hai kisii bachche kii tarah

yaa to sab kuchh hii ise chaahiye yaa kuchh bhii nahii.n

zindagii Khvaab-e-pareshaa.N hai koii kyaa jaane:Josh Malihabadi


zindagii Khwab-e-pareshaa.N hai koii kyaa jaane

maut kii larazish-e-mizshagaa.N hai koii kyaa jaane


raamish-o-rang ke aivaan me.n lailaa-e-hayaat

sirf ek raat kii mehamaa.N hai koii kyaa jaane

gulashan-e-ziist ke har phuul kii rangiinii me.n

dajalaa-e-Khuun-e-rag-e-jaa.N hai koii kyaa jaane

rang-o-aaha.ng se bajtii huii yaado.n kii baraat

raharav-e-jaadaa-e-nisiyaa.N hai koii kyaa jaane


[raamish=music],[dajalaa-e-Khuun=stream/river of blood,

[raharav-e-jaadaa-e-nisiyaa.N=traveller of a forgotten path]

aadatan tum ne kar diye vaade : Gulzar


aadatan tum ne kar diye vaade

aadatan ham ne aitabaar kiyaa


terii raaho.n me.n baarahaa ruk kar

ham ne apanaa hii intazaar kiiyaa


ab naa maa.Nge.nge zindagii yaa rab

ye gunaah ham ne ek baar kiyaa

lau de uThe vo harf-e-talab soch rahe hai.n: Shakeb Jalali


lau de uThe vo harf-e-talab soch rahe hai.n
kyaa likhiye sar-e-daaman-e-shab soch rahe hai.n

kyaa jaaniye manzil hai kahaa.N jaate hai.n kis simt
bhaTakii hu_ii is bhii.D me.n sab soch rahe hai.n

bhiigii hu_ii ek shaam kii dahaliiz pe baiThe
ham dil ke dha.Dakane kaa sabab soch rahe hai.n

TuuTe huye patto.n se daraKhto.n kaa ta'alluq
ham duur kha.De kunj-e-tarab soch rahe hai.n

is lahar ke piichhe bhii ravaa.N hai.n na_ii lahare.n
pahale nahii.n sochaa thaa jo ab soch rahe hai.n

ham ubhare bhii Duube bhii siyaahii ke bha.Nvar me.n
ham soye nahii.n shab-hamaa-shab soch rahe hai.n

dasht-e-shab par dikhaa_ii kyaa dengii: Parveen Shakir


dasht-e-shab par dikhaa_ii kyaa dengii
silavaTe.n roshanii me.n ubharengii

ghar kii diivaare.n mere jaane par
apanii tanhaa_iyo.n ko sochengii

u.Ngaliyo.n ko taraash duu.N phir bhii
aadatan us kaa naam likkhengii

rang-o-buu se kahii.n panaah nahii.n
Khvaahishe.n bhii kahaa.N amaa.N dengii

ek Khushbuu se bach bhii jaa_uu.N agar
duusarii nikahate.n jaka.D lengii

khi.Dakiyo.n par dabiiz parde ho.n
baarishe.n phir bhii dastake.n dengii

ka_ii marhale aur sar karane hai.n: Anwar Shaoor




ka_ii marhale aur sar karane hai.n
abhii to bahut se safar karane hai.n

[marhale = destinations/obstacles; sar karanaa = overcome]

badii aur nekii yaqii.n aur shak
hai.n jitane bhii aib-o-hunar karane hai.n

[badii = sin; nekii = good; aib = fault; hunar = skill]

hathelii pe rakhate hai.n apanaa kafan
jinhe.n apanaa jiivan amar karane hai.n

sitam hai ki duniyaa ke kitane hii kaam
zaruurii nahii.n hai.n magar karane hai.n

karoge kabhii tark bhii taak-jhaa.Nk
ki ye sil_sile umr bhar karane hai.n

bahut saKht mausam hai lekin 'Shaoor'
kisii taur ye din basar karane hai.n

kuchh to ehasaas-e-ziyaa.N thaa pahale: Nasir Kazmi


kuchh to ehasaas-e-ziyaa.N thaa pahale
dil kaa ye haal kahaa.N thaa pahale

ab to manzil bhii hai Khud garm-e-safar
har qadam sang-e-nishaa.N thaa pahale

safar-e-shauq ke far_sang na puuchh
vaqt beqaid-e-makaa.N thaa pahale

ye alag baat ki Gam raas hai ab
is me.n andeshaa-e-jaa.N thaa pahale

yuu.N na ghabaraaye huye phirate the
dil ajab kunj-e-amaa.N thaa pahale

ab bhii tuu paas nahii.n hai lekin
is qadar duur kahaa.N thaa pahale

Dere Daale hai.n bagolo.n ne jahaa.N
us taraf chashm-e-ravaa.N thaa pahale

ab vo dariyaa na bastii na vo log
kyaa Khabar kaun kahaa.N thaa pahale

har Kharaabaa ye sadaa detaa hai
mai.n bhii aabaad makaa.N thaa pahale

kyaa se kyaa ho ga_ii duniyaa pyaare
tuu vahii.n par hai jahaa.N thaa pahale

ham ne aabaad kiyaa mulk-e-suKhan
kaisaa sun_saan samaa.N thaa pahale

ham ne baKhshii hai Khamoshii ko zubaa.N
dard majabuur-e-fuGaa.N thaa pahale

ham ne roshan kiyaa maamuur-e-Gam
varnaa har simt dhuaa.N thaa pahale

Gam ne phir dil ko jagaayaa 'Nasir'
Khaanaa_barbaad kahaa.N thaa pahale

safar me.n dhuup to hogii : Nida Fazli


safar me.n dhuup to hogii jo chal sako to chalo
sabhii hai.n bhii.D me.n tum bhii nikal sako to chalo

idhar udhar ka_ii ma.nzil hai.n chal sako to chalo
bane banaaye hai.n saa.Nche jo Dhal sako to chalo

kisii ke vaasate raahe.n kahaa.N badalatii hai.n
tum apane aap ko Khud hii badal sako to chalo

yahaa.N kisii ko koii raastaa nahii.n detaa mujhe
giraake agar tum sambhal sako to chalo

yahii hai zindagii kuchh Khvaab chand ummiide.n
inhii.n khilauno.n se tum bhii bahal sako to chalo

har ik safar ko hai mahafuus raasto.n kii talaash
hifaazato.n kii rivaayat badal sako to chalo

kahii.n nahii.n ko_ii suuraj, dhuaa.N dhuaa.N hai fizaa
Khud apane aap se baahar nikal sako to chalo

main jahaa.N tum ko bulaata hu.N wahaa.N tak aao: Ali Sardar Jafri

main jahaa.N tum ko bulaata hu.N wahaa.N tak aao
merii nazro.n se guzar kar dil-o-jaa.N tak aao

phir ye dekho ki zamaane kii hawaa hai kaisii
saath mere mere firdaus-e-jawaa.N tak aao

tegh kii tarah chalo chhod ke aaghosh-e-niyaam
tiir kii tarah se aaghosh-e-kamaa.N tak aao

phool ke gird phiro baagh mein maanind-e-naseem
misl-e-paravanaa kisii sham-e-tapaa.N tak aao

lo vo sadiyo.n ke jahannum kii hade.n Khatm huii
ab hai firdaus hii firdaus jahaa.N tak aao

chhod kar waham-o-gumaa.N husn-e-yahqii.n tak pahu.Ncho
par yaqii.n se bhii kabhii waham-o-gumaa.N tak aao

had-e-nigaah tak ye zamii.n hai siyaah phir: Shaharyar

had-e-nigaah tak ye zamii.n hai siyaah phir
nikalii hai jugnuo.n kii bhataktii sipaah phir

hontho.n pe aa rahaa hai koii naam baar baar
sannaato.n kii tilism ko todegii aah phir

pichchle safar kii gard ko daaman se jhaad do
aawaz de rahii hai koii sooni raah phir

berang aasmaan ko dekhegii kab talak
manzar nayaa talaash karegii nigaah phir

Dheeli huii giraft junu.N kii ke jal uThaa
taaq-e-hawas mein koii charaagh-e-gunaah phir